Friday 21 March 2014

Nazam (A Poem)



This poem is a dedication to pre-partition two friends who got separated. The poem is also dedicated to all those who went apart from each other, but still reside in our hearts and blossom like flowers. I wrote this poem in Urdu, and will soon translate it in English. For better understanding I am writing this poem in roman Urdu.
“Nazam”

Zindagi Keh Is Safar Mein Eik Tera Sahara Tha,
Par Jab Say Tou Juda Huya Hay Mein Eik Beh Sahara Tha.

Karwatain Zindagi Nein Bhut Khoob Badleen Hain,
Eik Taraf Tera Kinara Tha Eik Taraf Mera Kinara Tha.

Zindagi Ka Sooraj Youn Charah Keh Doob Gaya,
Indhara Meri Zindagi Mein Doour Talak Gaya.

Teri Batoun Ki Sargoshian Ab Bhy Sunaye Deti Hain.
Tera Khil Kar Muskarana Abb Bhy Yaad Atta Hay.

Teray Ghar Ko Abb Bhy Mein Jata Houn,
Darwaza Kathkah Keh Waheen Ruk Jata Houn.

Laboun Say Ab Bhy Tera Naam Gungonata Houn,
Ansooyoun Say Apnain G Ko Behlata Houn.

Tou Jaab Say Bichrah Hay Meray Yaar Mujh Say,
Mein Toot Sa Gaya Houn Bikhar Sa Gaya Houn.

Hawayain Jo Teray Dais Say Yahan Atti Hain,
Teri Khushbou Say Faqt Lipti Hui Atti Hain.

Tou Nehen Atta Par Teri Khushbou Zaroor Aati Hay,
Aur Meri Khizan Jesi Zindagi Bahar Ban Jati Hay.


(Muhammad Uzair Khan)
From Pakistan with love and peace


1 comment: