Friday 18 April 2014

" Mohabbat Keh Motti "

          " Mohabbat Keh Motti " 

Andhayroun mein hum nein bhut waqt katta hay
Bhut kuch khoya hay bhut kuch jancha hay.

Kia roshniaan hamaray mukadar mein nehen
Roshnioun say dushmani paal rakhi hay.

Taras gaye hain us hawa ko jo payar ka piyam lati hy.
Jhulsaa diya hay nafrat nein chaman ka gosha gosha.

Har koi apnain hi rastay peh gamzan hay
Hath thaam keh chalna bhy mahal lagta hay
Pyar bhari nazar say dekha bhy nehen ja sakta kia.

Rehmat ki eik baarish ki zarurat hay Moula
Keh dhool uttar jaye in diloun say akhir.

Khoon tumhari ragoun mein
Meri ragoun mein
Eik sa hay
Laal hay
Garmata bhy hay, Taahtain bhy maarta hay
Par Eik jaisa hay.

Dil ki zameen ko kitna banjar bana diya hay
Keh us mein gouddy taak nehen kar sakay.

Ankhyoun mein ankhyain daal kar
Khoon ko garma kar bhut dekh liya
kiya mila is keh baddlay
kuch bhy nehen siwaye 
Jang, khoon-kharabba, barbadi.

Taqseem kar dala hay khud ko sheerazoun mein
Bhut ulajhsay gaye hain faaqat hum.

Koi bahir say aaye ga hum ko suljhanain
Nehen koi nehen aye ga!
Hum ko khud soulajhna hou ga.

Eik qadam hum ayain
Eik qadam tum ayo
Qadam jab bhaarayn gay
Tou
Safar banay ga
Manzil ka taayeyun hou ga
kafilah challay ga.

Jou houya sou houya us ko boulana hou ga
Tazza hawa ka jhoynkah ban kar humayin doour tak jana hou ga.

Qadam bharayin gay
Hath milayin gay
Tou dil bhy ekhtay dharkain gay
Nazrain nazroun say milayin gi tou zindageian savrayain gi.

Qatra Qatra ban kar sumandar banta hay.
Jawaaan khoon jab Aman ki baat karain gay
Tou andheri Raat mein Sawera hou ga.

Mohabbat ka yh peghaam jab aye ga
Amaan -o- Mohabbat ka safar shru hou ga. 

( Muhammad Uzair Khan ) 

The translation of this poem will be available very soon. Do give your feedback. 

No comments:

Post a Comment